C++ Introduction (Part 1)

Introduction:


 Aaj hum baat karege C++ language ke bare me. C++ ek programming language  hai c++ ka use computer software banane me kiya jata hai sath iska use game developmentme kafi kiya jata hai. C++ 1985 me bani thi aur jisne ise banaya unka naam hai Bjarne Stroustrup. Basically C language me Bjarne Stroustrup ne improvement karke C++ lang. banayi C++ language C language ki successor hai.
C++ me bahut se new features add kiye gaye hai jo hum aage aane wale post me sikhege.
C++ ka use karne ke liye hume IDE (Integrated Development Environment) ki jarurat padegi ye kuchh software hai jis par hum apna code likhte hai jese dev c++,code block etc.



                                                                                                                                        
 Ye hai Dev C++ ide jiska use hum code likhne ke liye karege. IDE ke andar ek compiler fit hota hai jiska kaam hota hai high level language ko machine language me change karna. Compiler bhi ek software hi hota hai jo high level language yani(C++, C and Java etc) ko low level language(assembly lang) me convert karta hai.
abhi ye thoda complex lag sakta hai lekin aane wali post me hum isko discuss kar lenge bas aapko ek kaam karna hai dev C++ ko apne computer me install karle.


 
Code:
 
// Your First C++ Program

#include <iostream>
using namespace std;
int main() {
    cout << "Hello World!";
    return 0;
}
 kuch is tarike c++ code dikhta hai aage aane wali post pe hum isko sikehege
 
 
Confusion hone apar niche comment krde thank you.

Comments

Post a Comment

Popular Posts